sab thakan aankh mein simaT jae
sab thakan aañkh meñ simaT jaa.e
niiñd aa jaa.e raat kaT jaa.e
rū-ba-rū hoñ to guftugū bhī kareñ
kaun āvāz se lipaT jaa.e
vahm ye hai ki band darvāza
dekh kar hī na vo palaT jaa.e
siikh dariyā se koh-paimā.ī
koī kyuuñ rāste se haT jaa.e
kaun māregā dūsrā patthar
koī sūrat ki dard baT jaa.e
maiñ havā huuñ ki chal rahā huuñ hanūz
arsa-e-dahr hī na kaT jaa.e
be-dilī ḳhil.at-e-nadāmat hai
ik balā hai agar chimaT jaa.e
apne chehre ko Dhāñp Dhāñp ke rakh
aa.ina gard se na aT jaa.e
sab thakan aankh mein simaT jae
nind aa jae raat kaT jae
ru-ba-ru hon to guftugu bhi karen
kaun aawaz se lipaT jae
wahm ye hai ki band darwaza
dekh kar hi na wo palaT jae
sikh dariya se koh-paimai
koi kyun raste se haT jae
kaun marega dusra patthar
koi surat ki dard baT jae
main hawa hun ki chal raha hun hanuz
arsa-e-dahr hi na kaT jae
be-dili KHilat-e-nadamat hai
ek bala hai agar chimaT jae
apne chehre ko Dhanp Dhanp ke rakh
aaina gard se na aT jae
- Book : Subh-e-safar (Pg. 37)
- Author : Saleem Shahid
- Publication : Ham asr, Lahore (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.