sab Thik hai kahne ko mohabbat ki kami hai
sab Thiik hai kahne ko mohabbat kī kamī hai
bistar pe salīqe se koī laash paḌī hai
dīvār hī toḌeñge to ban pā.egā rasta
ham aake jahāñ ruk ga.e vo band galī hai
is shahr-e-takalluf meñ zamāna huā rahte
lagtā hai magar jaise har ik chiiz na.ī hai
sab log jo hairat se tujhe dekh rahe haiñ
sar terā bahut chhoTā hai dastār baḌī hai
ye dekhte haiñ zañg bhī lag pā.egā kab tak
dīvār-e-ta'alluq meñ na.ī kiil gaḌhī hai
sab Thik hai kahne ko mohabbat ki kami hai
bistar pe saliqe se koi lash paDi hai
diwar hi toDenge to ban paega rasta
hum aake jahan ruk gae wo band gali hai
is shahr-e-takalluf mein zamana hua rahte
lagta hai magar jaise har ek chiz nai hai
sab log jo hairat se tujhe dekh rahe hain
sar tera bahut chhoTa hai dastar baDi hai
ye dekhte hain zang bhi lag paega kab tak
diwar-e-ta'alluq mein nai kil gaDhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.