sab toD din hudud mera dil nahin laga
sab toḌ diiñ hudūd mirā dil nahīñ lagā
zindān thā vujūd mirā dil nahīñ lagā
man meñ munāfaqat liye paḌhtī rahī namāz
the naam ke sujūd mirā dil nahīñ lagā
ai rabb-e-do-jahān tire is jahān meñ
koshish ke bāvajūd mirā dil nahīñ lagā
is baar shauq-e-vasl kī lazzat bhī kho ga.ī
taarī rahā jumūd mirā dil nahīñ lagā
duniyā-e-rang-o-ras se bhī uktā ga.ī huuñ maiñ
kyā raqs kyā surūd mirā dil nahīñ lagā
maiñ jā rahī huuñ chhoḌ ke ai sākinān-e-shahr
ye qarya-e-numūd mirā dil nahīñ lagā
sab toD din hudud mera dil nahin laga
zindan tha wujud mera dil nahin laga
man mein munafaqat liye paDhti rahi namaz
the nam ke sujud mera dil nahin laga
ai rabb-e-do-jahan tere is jahan mein
koshish ke bawajud mera dil nahin laga
is bar shauq-e-wasl ki lazzat bhi kho gai
tari raha jumud mera dil nahin laga
duniya-e-rang-o-ras se bhi ukta gai hun main
kya raqs kya surud mera dil nahin laga
main ja rahi hun chhoD ke ai sakinan-e-shahr
ye qarya-e-numud mera dil nahin laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.