sab udhar bhagen jidhar se teri KHushbu aae
sab udhar bhāgeñ jidhar se tirī ḳhushbū aa.e
ham ko zid hai hameñ lene ke liye tū aa.e
aa ga.e saare havā-ḳhvāh kamāneñ le kar
dasht meñ ram ke liye jab mire aahū aa.e
āb-e-zar se bhī kahīñ pyaas bujhā kartī hai
koī dariyā koī tālāb koī jū aa.e
ham se bantīñ nahīñ lafzoñ kī fasīleñ ki hameñ
tujh sā bātoñ kā hunar aa.e na jaadū aa.e
ham samajhte haiñ na samjheñge ishāroñ kī zabāñ
aañkh aa.e ki shikan aa.e ki abrū aa.e
e'tibār us kī qasam kā bhī na karnā 'bāqar'
koī hāthoñ meñ agar le ke tarāzū aa.e
sab udhar bhagen jidhar se teri KHushbu aae
hum ko zid hai hamein lene ke liye tu aae
aa gae sare hawa-KHwah kamanen le kar
dasht mein ram ke liye jab mere aahu aae
aab-e-zar se bhi kahin pyas bujha karti hai
koi dariya koi talab koi ju aae
hum se bantin nahin lafzon ki fasilen ki hamein
tujh sa baaton ka hunar aae na jadu aae
hum samajhte hain na samjhenge ishaaron ki zaban
aankh aae ki shikan aae ki abru aae
e'tibar us ki qasam ka bhi na karna 'baqar'
koi hathon mein agar le ke taraazu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.