Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ukhaD gain meKHen jab lagain taswiren

Ameer Nehtauri

sab ukhaD gain meKHen jab lagain taswiren

Ameer Nehtauri

MORE BYAmeer Nehtauri

    sab ukhaḌ ga.iiñ meḳheñ jab lagā.īñ tasvīreñ

    chīḳhtī haiñ dīvāreñ kyoñ sajā.īñ tasvīreñ

    tez ho ga.iiñ yaaro aur dhaḌkaneñ dil

    kapkapāte hoñToñ se jab lagā.īñ tasvīreñ

    aa.ine kirchoñ ko dekh dekh rote haiñ

    ik havā ke jhoñke ne kyā girā.īñ tasvīreñ

    terī merī chāhat par kitnā tanz karte the

    jal ga.e jahāñ vaale jab dikhā.īñ tasvīreñ

    nā-gahāñ umañD aa.e merī aañkh meñ aañsū

    aaj kuchh lifāfoñ se haath aa.iiñ tasvīreñ

    jaise koī dhan vaalā apnā dhan chhupātā ho

    ham ne saarī duniyā se yuuñ chhupā.īñ tasvīreñ

    ai 'amīr' ham jin ko dekh dekh jiite the

    nafratoñ ke sho.aloñ ne vo jalā.īñ tasvīreñ

    sab ukhaD gain meKHen jab lagain taswiren

    chiKHti hain diwaren kyon sajain taswiren

    tez ho gain yaro aur dhaDkanen dil ki

    kapkapate honTon se jab lagain taswiren

    aaine ki kirchon ko dekh dekh rote hain

    ek hawa ke jhonke ne kya girain taswiren

    teri meri chahat par kitna tanz karte the

    jal gae jahan wale jab dikhain taswiren

    na-gahan umanD aae meri aankh mein aansu

    aaj kuchh lifafon se hath aain taswiren

    jaise koi dhan wala apna dhan chhupata ho

    hum ne sari duniya se yun chhupain taswiren

    ai 'amir' hum jin ko dekh dekh jite the

    nafraton ke shoalon ne wo jalain taswiren

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now