sab usul-e-zindagi be-kar ho ke rah gae
sab usūl-e-zindagī be-kār ho ke rah ga.e
ham asīr-e-kākul-e-dildār ho ke rah ga.e
hāl-e-dil nā-qābil iz.hār ho ke rah gayā
ham kisī ke naḳhroñ se bezār ho ke rah ga.e
vo jo hirnoñ kī tarah chaukaḌiyāñ bharte the kabhī
vaqt kī raftār se lāchār ho ke rah ga.e
jaane vaalā chal basā dāġh-e-judā.ī de gayā
aur sab ahbāb shabnam-bār ho ke rah ga.e
bā.is-e-ibrat hai kaise kaise qad-āvar daraḳht
āñdhiy.oñ meñ vaqt kī hamvār ho ke rah ga.e
jo shagūfe zīnat-e-gulzār the sāhab kabhī
phuul ban ke raunaq-e-bāzār ho ke rah ga.e
ham samajhte the jinheñ sālār-e-amn-o-āshtī
haif vo bhī surḳhi-e-aḳhbār ho ke rah ga.e
kyā hamāre saa.e meñ ārām farmā.e koī
ham to bas girtī huī dīvār ho ke rah ga.e
kyā shikāyat kījiye 'nāmī' kisī begāne kī
apne bhī to bā.is-e-āzār ho ke rah ga.e
sab usul-e-zindagi be-kar ho ke rah gae
hum asir-e-kakul-e-dildar ho ke rah gae
haal-e-dil na-qabil izhaar ho ke rah gaya
hum kisi ke naKHron se bezar ho ke rah gae
wo jo hirnon ki tarah chaukaDiyan bharte the kabhi
waqt ki raftar se lachaar ho ke rah gae
jaane wala chal basa dagh-e-judai de gaya
aur sab ahbab shabnam-bar ho ke rah gae
bais-e-ibrat hai kaise kaise qad-awar daraKHt
aandhiyon mein waqt ki hamwar ho ke rah gae
jo shagufe zinat-e-gulzar the sahab kabhi
phul ban ke raunaq-e-bazar ho ke rah gae
hum samajhte the jinhen salar-e-amn-o-ashti
haif wo bhi surKHi-e-aKHbar ho ke rah gae
kya hamare sae mein aaram farmae koi
hum to bas girti hui diwar ho ke rah gae
kya shikayat kijiye 'nami' kisi begane ki
apne bhi to bais-e-azar ho ke rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.