sab uTh jaenge parde darmiyan se
sab uTh jā.eñge parde darmiyāñ se
ishāra to kareñ vo lā-makāñ se
chune tā-umr kāñTe gulsitāñ se
kabhī ujrat na māñgī bāġhbāñ se
bahut ūñchā sahī vo arsh lekin
bahut nīchā hai tere āstāñ se
mire husn-e-taḳhyyul ke karishme
tire jalve nikalte haiñ yahāñ se
uḌā do gard maiḳhāne kī rindo
laḌā do āsmāñ ko āsmāñ se
sarāpā gosh-bar-āvāz huuñ maiñ
na jaane dī sadā us ne kahāñ se
kabhī to jhāñk maiḳhāne meñ zāhid
nazar aa jā.egī jannat yahāñ se
'musavvir' aap hai tasvīr apnī
sunā tasvīr-e-goyā kī zabāñ se
sab uTh jaenge parde darmiyan se
ishaara to karen wo la-makan se
chune ta-umr kanTe gulsitan se
kabhi ujrat na mangi baghban se
bahut uncha sahi wo arsh lekin
bahut nicha hai tere aastan se
mere husn-e-taKHyyul ke karishme
tere jalwe nikalte hain yahan se
uDa do gard maiKHane ki rindo
laDa do aasman ko aasman se
sarapa gosh-bar-awaz hun main
na jaane di sada us ne kahan se
kabhi to jhank maiKHane mein zahid
nazar aa jaegi jannat yahan se
'musawwir' aap hai taswir apni
suna taswir-e-goya ki zaban se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.