sab wa hain dariche to hawa kyon nahin aati
sab vā haiñ darīche to havā kyoñ nahīñ aatī
chup kyoñ haiñ parindoñ kī sadā kyoñ nahīñ aatī
gul khilne kā mausam hai to phir kyoñ nahīñ khilte
ḳhāmosh haiñ kyoñ peḌ sabā kyoñ nahīñ aatī
be-ḳhvāb kivāḌoñ pe havā detī hai dastak
so.e hue logoñ ko jagā kyoñ nahīñ detī
sunte haiñ ki manzar hai badalne ko chaman kā
phir is kī gavāhī kī nidā kyoñ nahīñ aatī
kyoñ ek se lagte haiñ yahāñ ab sabhī mausam
ḳhushbū kisī mausam se judā kyoñ nahīñ hotī
sonā hai mujhe ab to vahī oḌh ke 'shabnam'
mere liye phūloñ kī ridā kyoñ nahīñ aatī
sab wa hain dariche to hawa kyon nahin aati
chup kyon hain parindon ki sada kyon nahin aati
gul khilne ka mausam hai to phir kyon nahin khilte
KHamosh hain kyon peD saba kyon nahin aati
be-KHwab kiwaDon pe hawa deti hai dastak
soe hue logon ko jaga kyon nahin deti
sunte hain ki manzar hai badalne ko chaman ka
phir is ki gawahi ki nida kyon nahin aati
kyon ek se lagte hain yahan ab sabhi mausam
KHushbu kisi mausam se juda kyon nahin hoti
sona hai mujhe ab to wahi oDh ke 'shabnam'
mere liye phulon ki rida kyon nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.