sab zar-parast the sar-e-bazar bik gae
sab zar-parast the sar-e-bāzār bik ga.e
vo qīmateñ baḌhīñ ki ḳharīdār bik ga.e
ik dūsre kī hirs ne andhā banā diyā
zebā.ish-e-makān meñ ghar-bār bik ga.e
bhaḌkī ba-faiz-e-muflisī jab ātish-e-shikam
do roTiyoñ meñ logoñ ke pindār bik ga.e
achchhoñ ko is jahāñ meñ koī pūchhtā nahīñ
sab pārsā khaḌe haiñ gunahgār bik ga.e
ham muflisoñ ke paas to bikne kā hai javāz
'ārif' batāo kis liye zardār bik ga.e
sab zar-parast the sar-e-bazar bik gae
wo qimaten baDhin ki KHaridar bik gae
ek dusre ki hirs ne andha bana diya
zebaish-e-makan mein ghar-bar bik gae
bhaDki ba-faiz-e-muflisi jab aatish-e-shikam
do roTiyon mein logon ke pindar bik gae
achchhon ko is jahan mein koi puchhta nahin
sab parsa khaDe hain gunahgar bik gae
hum muflison ke pas to bikne ka hai jawaz
'arif' batao kis liye zardar bik gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.