Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye

Vineet Aashna

sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye

Vineet Aashna

MORE BYVineet Aashna

    sab zarūrat to sāmān hai ghar meñ rahiye

    kyā huā gar koī halkān hai ghar meñ rahiye

    bhiiḌ meñ bhī na the siine se lagāne vaale

    aaj to shahr vīrān hai ghar meñ rahiye

    saañs ghuT jā.egī dīvāroñ ke ke andar ik din

    aur sunte haiñ ki darmān hai ghar meñ rahiye

    band haiñ mandir o masjid dukāneñ saarī

    aaj bāzār ye sunsān hai ghar meñ rahiye

    kal talak mulk se bāhar jo kiye dete the

    ab to un bhī ye farmān hai ghar meñ rahiye

    har maraz meñ nahīñ hotī hai suhūlat itnī

    bhuuk se marnā to āsān hai ghar meñ rahiye

    qaid phir qaid hotī hai magar hasb-e-hāl

    sab se behtar yahī zindān hai ghar meñ rahiye

    aap dil se mujhe be-daḳhl kiye dete haiñ

    ab to sarkār elaan hai ghar meñ rahiye

    us tasvīr in āñkhoñ ke liye kaafī hai

    aur phir miir dīvān hai ghar meñ rahiye

    sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye

    kya hua gar koi halkan hai ghar mein rahiye

    bhiD mein bhi na the sine se lagane wale

    aaj to shahr hi viran hai ghar mein rahiye

    sans ghuT jaegi diwaron ke ke andar ek din

    aur sunte hain ki darman hai ghar mein rahiye

    band hain mandir o masjid ki dukanen sari

    aaj bazar ye sunsan hai ghar mein rahiye

    kal talak mulk se bahar jo kiye dete the

    ab to un ka bhi ye farman hai ghar mein rahiye

    har maraz mein nahin hoti hai suhulat itni

    bhuk se marna to aasan hai ghar mein rahiye

    qaid phir qaid hi hoti hai magar hasb-e-haal

    sab se behtar yahi zindan hai ghar mein rahiye

    aap dil se mujhe be-daKHl kiye dete hain

    ab to sarkar ka elan hai ghar mein rahiye

    us ki taswir in aankhon ke liye kafi hai

    aur phir mir ka diwan hai ghar mein rahiye

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now