Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saba banate hain ghuncha-dahan banate hain

Amir Hamza Saqib

saba banate hain ghuncha-dahan banate hain

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    sabā banāte haiñ ġhuncha-dahan banāte haiñ

    tumhāre vāste kyā kyā suḳhan banāte haiñ

    sinān o tiir lazzat lahū meñ ram kare hai

    ham apne aap ko kis hiran banāte haiñ

    ye dhaj khilātī hai kyā gul zarā patā to chale

    ki ḳhāk-e-pā ko tirī pairahan banāte haiñ

    vo gul-izār idhar aa.egā sau dāġhoñ se

    ham apne siine ko rashk-e-chaman banāte haiñ

    shahīd-e-nāz ġhazab ke hunar-varāñ nikle

    lahū ke chhīñToñ se apnā kafan banāte haiñ

    tumhārī zaat havāla hai surḳh-rūī

    tumhāre zikr ko sab shart-e-fan banāte haiñ

    saba banate hain ghuncha-dahan banate hain

    tumhaare waste kya kya suKHan banate hain

    sinan o tir ki lazzat lahu mein ram kare hai

    hum apne aap ko kis ka hiran banate hain

    ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale

    ki KHak-e-pa ko teri pairahan banate hain

    wo gul-izar idhar aaega sau daghon se

    hum apne sine ko rashk-e-chaman banate hain

    shahid-e-naz ghazab ke hunar-waran nikle

    lahu ke chhinTon se apna kafan banate hain

    tumhaari zat hawala hai surKH-rui ka

    tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banate hain

    Source :
    • Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 24)
    • Author : Ameer Hamza Saqib
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now