saba deti hai gul ko ye payam aahista aahista
saba deti hai gul ko ye payam aahista aahista
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
sabā detī hai gul ko ye payām āhista āhista
nikal jā.egī ḳhushbū vaqt-e-shām āhista āhista
banā kar ishq ko apnā imaam āhista āhista
ajal se le rahā huuñ intiqām āhista āhista
rulā.egī mire uslūb kī shā.istagī us ko
paḌegā jo koī merā kalām āhista āhista
ubhar kar sāmne aa.egā jab koī nayā chehra
bhalā degā zamāne merā naam āhista āhista
zarūrat aadmī se us kī ġhairat chhīn letī hai
girā detī hai insāñ kā maqām āhista āhista
ḳhudā-vandān-e-duniyā ko bhalā ye kaun samjhā.e
liyā kartī hai qudrat intiqām āhista āhista
ḳhatā.eñ jis qadar sarzad huiiñ mujh se mohabbat meñ
huī jaatī haiñ vo mash.hūr-e-ām āhista āhista
isī ummīd pe jhelī haiñ fan kī saḳhtiyāñ maiñ ne
hunar-mandoñ meñ hogā merā naam āhista āhista
abhī 'nāshād' ham mashq-e-sitam tanhā haiñ maqtal meñ
hamāre baad hogā qatl-e-ām āhista āhista
saba deti hai gul ko ye payam aahista aahista
nikal jaegi KHushbu waqt-e-sham aahista aahista
bana kar ishq ko apna imam aahista aahista
ajal se le raha hun intiqam aahista aahista
rulaegi mere uslub ki shaistagi us ko
paDega jo koi mera kalam aahista aahista
ubhar kar samne aaega jab koi naya chehra
bhala dega zamane mera nam aahista aahista
zarurat aadmi se us ki ghairat chhin leti hai
gira deti hai insan ka maqam aahista aahista
KHuda-wandan-e-duniya ko bhala ye kaun samjhae
liya karti hai qudrat intiqam aahista aahista
KHataen jis qadar sarzad huin mujh se mohabbat mein
hui jati hain wo mashhur-e-am aahista aahista
isi ummid pe jheli hain fan ki saKHtiyan main ne
hunar-mandon mein hoga mera nam aahista aahista
abhi 'nashad' hum mashq-e-sitam tanha hain maqtal mein
hamare baad hoga qatl-e-am aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.