saba gul-e-rez jaan-parwar faza hai
sabā gul-e-rez jāñ-parvar fazā hai
ye mausam aur vīrāñ mai-kada hai
giraftār-e-ḳham-o-kākul hai koī
ġham-e-daurāñ meñ koī mubtalā hai
nahīñ hai bevafā.ī kī shikāyat
tumhārī kam-nigāhī kā gilā hai
rah-e-hastī se marg-e-nā-gahāñ tak
faqat do hī qadam kā fāsla hai
ye duniyā imtihāñ-gāh-e-mohabbat
ye duniyā hāsil-e-karb-o-balā hai
badal Daalā nizām-e-jān-o-dil ko
ye sab mere junūñ kā hausla hai
saba gul-e-rez jaan-parwar faza hai
ye mausam aur viran mai-kada hai
giraftar-e-KHam-o-kakul hai koi
gham-e-dauran mein koi mubtala hai
nahin hai bewafai ki shikayat
tumhaari kam-nigahi ka gila hai
rah-e-hasti se marg-e-na-gahan tak
faqat do hi qadam ka fasla hai
ye duniya imtihan-gah-e-mohabbat
ye duniya hasil-e-karb-o-bala hai
badal Dala nizam-e-jaan-o-dil ko
ye sab mere junun ka hausla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.