saba itna paigham kah yar se
sabā itnā paiġhām kah yaar se
na mahrūm rakh mujh ko dīdār se
na bulbul se matlab na gul se ġharaz
hameñ hai faqat kaam dil-dār se
hameñ zulf-o-ruḳh chāhiye yaar kā
na mus.haf se ḳhush haiñ na zunnār se
kahā thā ki ā.eñge aa.e nahīñ
miyāñ kyoñ phire apne iqrār se
tire ġham se 'rashkī' huā jāñ-balab
ye kah denā us mere ġham-ḳhvār se
saba itna paigham kah yar se
na mahrum rakh mujh ko didar se
na bulbul se matlab na gul se gharaz
hamein hai faqat kaam dil-dar se
hamein zulf-o-ruKH chahiye yar ka
na mushaf se KHush hain na zunnar se
kaha tha ki aaenge aae nahin
miyan kyon phire apne iqrar se
tere gham se 'rashki' hua jaan-balab
ye kah dena us mere gham-KHwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.