Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saba ki KHak-nawardi subu ki virani

Khalid Karrar

saba ki KHak-nawardi subu ki virani

Khalid Karrar

MORE BYKhalid Karrar

    sabā ḳhāk-navardī subū vīrānī

    tumhāre baad huī aarzū vīrānī

    tire baġhair mere hausle zavāl-pazīr

    tire baġhair mirī justujū vīrānī

    shumār-e-umr-e-gurezāñ hisāb-e-tā.at-o-zohd

    vazū ḳhāna-purī thī lahū vīrānī

    har ek dasht purānā sarāb-e-jāñ tarah

    har ek shahr nayā aabrū vīrānī

    tumhāre saath se mere suḳhan shīrīnī

    tumhāre baad mirī guftugū vīrānī

    tamām raat sarāb-e-safar dhaḌkā thā

    tamām raat thī ik hā-o-hū vīrānī

    saba ki KHak-nawardi subu ki virani

    tumhaare baad hui aarzu ki virani

    tere baghair mere hausle zawal-pazir

    tere baghair meri justuju ki virani

    shumar-e-umr-e-gurezan hisab-e-taat-o-zohd

    wazu ki KHana-puri thi lahu ki virani

    har ek dasht purana sarab-e-jaan ki tarah

    har ek shahr naya aabru ki virani

    tumhaare sath se mere suKHan ki shirini

    tumhaare baad meri guftugu ki virani

    tamam raat sarab-e-safar ka dhaDka tha

    tamam raat thi ek ha-o-hu ki virani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now