saba ko fikr hai kaba naya banane ki
sabā ko fikr hai ka.aba nayā banāne kī
ki jam.a kartī hai ḳhaak un ke āstāne kī
falak ko zid hai nasheman mirā miTāne kī
chaman meñ dhun hai mujhe āshiyāñ banāne kī
zamīñ pe lāla-o-gul se hai ibtadā-e-bayāñ
shafaq hai āḳhirī surḳhī mire fasāne kī
isī se niklegā ta.amīr kā bhī ik pahlū
zarūr chāhiye taḳhrīb āshiyāne kī
hazār jalva-e-be-rañg sad matā.a-e-nazar
nahīñ hai husn ko hājat naqāb uThāne kī
khulā ye raaz ki thiiñ kis qadar fareb-e-nazar
ajal ke bhes meñ rañgīniyāñ zamāne kī
asīro kar lo nasheman kā āḳhirī mātam
qafas meñ aa.ī hai ḳhaak uḌ ke āshiyāne kī
sunī thī vus.at-e-duniyā kī dāstāñ ham ne
magar milī na jagah āshiyāñ banāne kī
ye kah ke palTe haiñ duniyā ke dekhne vaale
ki ye jagah nahīñ vallāh dil lagāne kī
banā bahār meñ ujḌā ḳhizāñ meñ ai 'afqar'
haqīqat itnī hī bas apne āshiyāne kī
saba ko fikr hai kaba naya banane ki
ki jama karti hai KHak un ke aastane ki
falak ko zid hai nasheman mera miTane ki
chaman mein dhun hai mujhe aashiyan banane ki
zamin pe lala-o-gul se hai ibtada-e-bayan
shafaq hai aaKHiri surKHi mere fasane ki
isi se niklega tamir ka bhi ek pahlu
zarur chahiye taKHrib aashiyane ki
hazar jalwa-e-be-rang sad mataa-e-nazar
nahin hai husn ko hajat naqab uThane ki
khula ye raaz ki thin kis qadar fareb-e-nazar
ajal ke bhes mein ranginiyan zamane ki
asiro kar lo nasheman ka aaKHiri matam
qafas mein aai hai KHak uD ke aashiyane ki
suni thi wusat-e-duniya ki dastan hum ne
magar mili na jagah aashiyan banane ki
ye kah ke palTe hain duniya ke dekhne wale
ki ye jagah nahin wallah dil lagane ki
bana bahaar mein ujDa KHizan mein ai 'afqar'
haqiqat itni hi bas apne aashiyane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.