Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saba ko le ke harim-e-chaman se nikli hai

Zameer Azhar

saba ko le ke harim-e-chaman se nikli hai

Zameer Azhar

MORE BYZameer Azhar

    sabā ko le ke harīm-e-chaman se niklī hai

    vo ik adā ki tire bāñkpan se niklī hai

    lajā ke ḳhud se nihāñ ho ga.ī hai phūloñ meñ

    shamīm-e-ḳhush ki tire pairahan se niklī hai

    ba-rang-e-nūr jhalaktī hai māh-o-anjum meñ

    ziyā jo terī jabīñ kiran se niklī hai

    latīf-tar ho subuk-tar ho nāz-parvar ho

    mahak ye apne alāva saman se niklī hai

    tumhārī chashm se miltī hai nargis-e-shahlā

    shabīh-e-ġhuncha tumhāre dahan se niklī hai

    tumhīñ ho mojid-e-naġhma tumhīñ ho ḳhāliq-e-sher

    ravish ġhazal tumhāre chalan se niklī hai

    adā-shanās-e-nigārāñ hamīñ to haiñ 'az.har'

    sanā-e-husn ham ahl-e-suḳhan se niklī hai

    saba ko le ke harim-e-chaman se nikli hai

    wo ek ada ki tere bankpan se nikli hai

    laja ke KHud se nihan ho gai hai phulon mein

    shamim-e-KHush ki tere pairahan se nikli hai

    ba-rang-e-nur jhalakti hai mah-o-anjum mein

    ziya jo teri jabin ki kiran se nikli hai

    latif-tar ho subuk-tar ho naz-parwar ho

    mahak ye apne alawa saman se nikli hai

    tumhaari chashm se milti hai nargis-e-shahla

    shabih-e-ghuncha tumhaare dahan se nikli hai

    tumhin ho mojid-e-naghma tumhin ho KHaliq-e-sher

    rawish ghazal ki tumhaare chalan se nikli hai

    ada-shanas-e-nigaran hamin to hain 'azhar'

    sana-e-husn hum ahl-e-suKHan se nikli hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now