saba ne kan mein aa kar kaha mile hi nahin
sabā ne kaan meñ aa kar kahā mile hī nahīñ
hasīn log tire gaañv meñ rahe hī nahīñ
hameñ kyā 'ilm ki kyā shai hai ābla-pā.ī
ham apne kamre se bāhar kabhī ga.e hī nahīñ
hameñ bachāne pe raazī thā ik jahān magar
phir ek moḌ vo aayā ki ham bache hī nahīñ
tamām shahr ne mil-jul ke kar liye taqsīm
ye hādsāt mire yaar jab Tale hī nahīñ
mujhe girāne pe āñdhī kā zor thā kitnā
mere lagā.e hue peḌ to gire hī nahīñ
saba ne kan mein aa kar kaha mile hi nahin
hasin log tere ganw mein rahe hi nahin
hamein kya 'ilm ki kya shai hai aabla-pai
hum apne kamre se bahar kabhi gae hi nahin
hamein bachane pe raazi tha ek jahan magar
phir ek moD wo aaya ki hum bache hi nahin
tamam shahr ne mil-jul ke kar liye taqsim
ye hadsat mere yar jab Tale hi nahin
mujhe girane pe aandhi ka zor tha kitna
mere lagae hue peD to gire hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.