saba-o-gul ko mah-o-najm ko diwana kiya
sabā-o-gul ko mah-o-najm ko divāna kiyā
mirī sarisht ne har rañg ko nishāna kiyā
vahī bahār jise tum bahār kahte ho
sulūk ham se bahut us ne bāġhiyāna kiyā
jahāñ bhī tez havāoñ ne saath chhoḌ diyā
ġhubār-e-rāh ne apnā vahīñ Thikāna kiyā
ham āḳhir us ke ḳhad-o-ḳhāl dekhte kaise
hamesha us ne qarīb aane se bahāna kiyā
suḳhanvarī kī ijāzat to dil ne de dī thī
magar zabān ne iz.hār-e-mudda.ā na kiyā
sahar kī aañkh se aañsū Tapak na jaa.eñ 'na.īm'
ye soch kar na bayāñ raat kā fasāna kiyā
saba-o-gul ko mah-o-najm ko diwana kiya
meri sarisht ne har rang ko nishana kiya
wahi bahaar jise tum bahaar kahte ho
suluk hum se bahut us ne baghiyana kiya
jahan bhi tez hawaon ne sath chhoD diya
ghubar-e-rah ne apna wahin Thikana kiya
hum aaKHir us ke KHad-o-KHal dekhte kaise
hamesha us ne qarib aane se bahana kiya
suKHanwari ki ijazat to dil ne de di thi
magar zaban ne izhaar-e-muddaa na kiya
sahar ki aankh se aansu Tapak na jaen 'naim'
ye soch kar na bayan raat ka fasana kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.