Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saba ye un se kaho ki mujh pe nawazishen be-hisab likhna

Saba Shah

saba ye un se kaho ki mujh pe nawazishen be-hisab likhna

Saba Shah

MORE BYSaba Shah

    'sabā' ye un se kaho ki mujh pe navāzisheñ be-hisāb likhnā

    mire muqaddar meñ niiñd likhnā na raat likhnā na ḳhvāb likhnā

    vo raushnā.ī kahāñ se lā.ūñ maiñ aise kātib kahāñ se DhūñDūñ

    bahut kaThin hai gulāb chehroñ pe dāstān-e-azāb likhnā

    maiñ dhuup sahrā meñ Duub jaane aarzū meñ taḌap rahī huuñ

    mire nasīboñ meñ pyaas likhnā qadam qadam pe sarāb likhnā

    tujhe ḳhudā.ī vāsta hai mirī duā bhī laaj rakhnā

    maiñ tujh se umr-e-darāz māñgūñ mere haq meñ habāb likhnā

    lo terī chaukhaT pe zindagī maiñ faisla ab ke le rahī huuñ

    mere dast-e-savāl par ab koī na koī javāb likhnā

    yahāñ zamīneñ khisak chukī haiñ har ek ghar ab ujaḌ chukā hai

    mirā makāñ hai abhī salāmat mujhe bhī ḳhāna-ḳharāb likhnā

    'saba' ye un se kaho ki mujh pe nawazishen be-hisab likhna

    mere muqaddar mein nind likhna na raat likhna na KHwab likhna

    wo raushnai kahan se laun main aise katib kahan se DhunDun

    bahut kaThin hai gulab chehron pe dastan-e-azab likhna

    main dhup sahra mein Dub jaane ki aarzu mein taDap rahi hun

    mere nasibon mein pyas likhna qadam qadam pe sarab likhna

    tujhe KHudai ka wasta hai meri dua ki bhi laj rakhna

    main tujh se umr-e-daraaz mangun tu mere haq mein habab likhna

    lo teri chaukhaT pe zindagi ka main faisla ab ke le rahi hun

    tu mere dast-e-sawal par ab koi na koi jawab likhna

    yahan zaminen khisak chuki hain har ek ghar ab ujaD chuka hai

    mera makan hai abhi salamat mujhe bhi KHana-KHarab likhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now