sabab banae kabhi be-sabab bichhaD jae
sabab banā.e kabhī be-sabab bichhaḌ jaa.e
use ye haq hai ki Dhaa.e ġhazab bichhaḌ jaa.e
bichhaḌnā do diloñ kā yuuñ hī hotā hai jaise
kisī zabān se she'r-o-adab bichhaḌ jaa.e
abhī haiñ saath to deñ saath hone kā ehsās
kise ḳhabar hai kahāñ kaun kab bichhaḌ jaa.e
ye ḳhud hī sochiye manzil ke mā'nī kyā hoñge
jo rāste meñ hī dil se talab bichhaḌ jaa.e
use kaho ki faqat itnā ehtimām kare
bahāna achchhā banā le to tab bichhaḌ jaa.e
sabab banae kabhi be-sabab bichhaD jae
use ye haq hai ki Dhae ghazab bichhaD jae
bichhaDna do dilon ka yun hi hota hai jaise
kisi zaban se she'r-o-adab bichhaD jae
abhi hain sath to den sath hone ka ehsas
kise KHabar hai kahan kaun kab bichhaD jae
ye KHud hi sochiye manzil ke ma'ni kya honge
jo raste mein hi dil se talab bichhaD jae
use kaho ki faqat itna ehtimam kare
bahana achchha bana le to tab bichhaD jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.