sabab-e-tark-e-mulaqat koi hai to sahi

sabab-e-tark-e-mulaqat koi hai to sahi
Aleem Akhtar muzaffarnagri
MORE BYAleem Akhtar muzaffarnagri
sabab-e-tark-e-mulāqāt koī hai to sahī
na sahī baat magar baat koī hai to sahī
ḳhū-e-taslīm-o-razā ho ki mohabbat kā fareb
ġham-e-jānāñ kī mukāfāt koī hai to sahī
kuchh ta'alluq na sahī phir bhī ba-majbūrī-e-shauq
mā.il-e-pursish-e-hālāt koī hai to sahī
munfa'il apnī jafāoñ pe koī hai shāyad
chashm pur-nam hai na.ī baat koī hai to sahī
haa.e vo be-ruḳhī-e-husn ki jis meñ pinhāñ
pahlū-e-husn-e-murā’āt koī hai to sahī
ruḳh-e-raushan se numāyāñ haiñ sahar ke āsār
shām-e-gesū meñ nihāñ raat koī hai to sahī
pīr-e-mai-ḳhāna kahīñ hazrat-e-'aḳhtar' to nahīñ
dekhnā rind-e-ḳharābāt koī hai to sahī
sabab-e-tark-e-mulaqat koi hai to sahi
na sahi baat magar baat koi hai to sahi
KHu-e-taslim-o-raza ho ki mohabbat ka fareb
gham-e-jaanan ki mukafat koi hai to sahi
kuchh ta'alluq na sahi phir bhi ba-majburi-e-shauq
mail-e-pursish-e-haalat koi hai to sahi
munfa'il apni jafaon pe koi hai shayad
chashm pur-nam hai nai baat koi hai to sahi
hae wo be-ruKHi-e-husn ki jis mein pinhan
pahlu-e-husn-e-mura’at koi hai to sahi
ruKH-e-raushan se numayan hain sahar ke aasar
sham-e-gesu mein nihan raat koi hai to sahi
pir-e-mai-KHana kahin hazrat-e-'aKHtar' to nahin
dekhna rind-e-KHarabaat koi hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.