sabab kya hai kabhi samjhi nahin main
sabab kyā hai kabhī samjhī nahīñ maiñ
ki TuuTī to bahut bikhrī nahīñ maiñ
rakhī hai guftugū us se har ik pal
suḳhan jis se kabhī rakhtī nahīñ maiñ
ye choT apne hī hāthoñ se lagī hai
kisī ke vaar se zaḳhmī nahīñ maiñ
karūñ kyuuñ yaad tere ḳhāl-o-ḳhad ab
shikasta aa.ine chuntī nahīñ maiñ
ajab thī rahguzar bhī ham-rahī kī
qadam rakh kar kabhī palTī nahīñ maiñ
jo pahuñchī sāhiloñ par tab khulā hai
ki ab vo tishnagī rakhtī nahīñ maiñ
sabab kya hai kabhi samjhi nahin main
ki TuTi to bahut bikhri nahin main
rakhi hai guftugu us se har ek pal
suKHan jis se kabhi rakhti nahin main
ye choT apne hi hathon se lagi hai
kisi ke war se zaKHmi nahin main
karun kyun yaad tere KHal-o-KHad ab
shikasta aaine chunti nahin main
ajab thi rahguzar bhi ham-rahi ki
qadam rakh kar kabhi palTi nahin main
jo pahunchi sahilon par tab khula hai
ki ab wo tishnagi rakhti nahin main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.