sabaq kitab ka pakka nahin kiya maine
sabaq kitāb kā pakkā nahīñ kiyā maiñ ne
abhī samajhnā hai jīvan kā falsafa maiñ ne
bujhā.ī pyaas nahīñ bas nahā liyā maiñ ne
liyā hai kaam samundar se dūsrā maiñ ne
bhalā vo āñkhoñ se ġham kā patā lagā.egā kyā
pahan liyā hai ye chashma jo dhuup kā maiñ ne
huā hai ġhair qabīle kī ik hasīñ se ishq
abhī to karnā hai mushkil kā sāmnā maiñ ne
kisī mazār pe minnat se us ko paayā hai
ki ek dhāge se khīñchā hai dā.era maiñ ne
misāleñ dete the ustād maiñ samajhtā na thā
phir us ke kahne se samjhā thā zāviya maiñ ne
nishast hai nahīñ kah kar ka.ī baseñ chhoḌīñ
tujhe bachāne meñ kitnoñ ko kho diyā maiñ ne
sabaq kitab ka pakka nahin kiya main ne
abhi samajhna hai jiwan ka falsafa main ne
bujhai pyas nahin bas naha liya main ne
liya hai kaam samundar se dusra main ne
bhala wo aankhon se gham ka pata lagaega kya
pahan liya hai ye chashma jo dhup ka main ne
hua hai ghair qabile ki ek hasin se ishq
abhi to karna hai mushkil ka samna main ne
kisi mazar pe minnat se us ko paya hai
ki ek dhage se khincha hai daera main ne
misalen dete the ustad main samajhta na tha
phir us ke kahne se samjha tha zawiya main ne
nishast hai nahin kah kar kai basen chhoDin
tujhe bachane mein kitnon ko kho diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.