sabhi amiron ke taj KHatre mein aa gae the
sabhī amīroñ ke taaj ḳhatre meñ aa ga.e the
kuchh aise sikke hamāre kaase meñ aa ga.e the
hameñ bhī fāqa-kashī ne kāfir banā diyā hai
ḳhayāl roTī ke aaj sajde meñ aa ga.e the
tumhāre āñgan kī titliyāñ thiiñ hamāre ghar meñ
hamāre jugnū tumhāre kamre meñ aa ga.e the
gayā jo mandir to phir na masjid kī chhat pe baiThā
mizāj logoñ ke ik parinde meñ aa ga.e the
kisī bhī goshe meñ chāhatoñ kī tapish nahīñ thī
vo terā dil thā yā sard-ḳhāne meñ aa ga.e the
maiñ aadhā paḌh kar vafā ke qisse ko chhoḌ aaya
tumhārī bastī ke log qisse meñ aa ga.e the
bichhaḌte lamhe jo ashk hāthoñ pe aa girā thā
tamām dariyā us ek qatre meñ aa ga.e the
use mohabbat kī pā.emālī nahīñ kahoge
'razā' vo milne kisī ke sadqe meñ aa ga.e the
sabhi amiron ke taj KHatre mein aa gae the
kuchh aise sikke hamare kase mein aa gae the
hamein bhi faqa-kashi ne kafir bana diya hai
KHayal roTi ke aaj sajde mein aa gae the
tumhaare aangan ki titliyan thin hamare ghar mein
hamare jugnu tumhaare kamre mein aa gae the
gaya jo mandir to phir na masjid ki chhat pe baiTha
mizaj logon ke ek parinde mein aa gae the
kisi bhi goshe mein chahaton ki tapish nahin thi
wo tera dil tha ya sard-KHane mein aa gae the
main aadha paDh kar wafa ke qisse ko chhoD aaya
tumhaari basti ke log qisse mein aa gae the
bichhaDte lamhe jo ashk hathon pe aa gira tha
tamam dariya us ek qatre mein aa gae the
use mohabbat ki paemali nahin kahoge
'raza' wo milne kisi ke sadqe mein aa gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.