sabhi band silsile hain yahi kaam chal raha hai
sabhī band silsile haiñ yahī kaam chal rahā hai
ki havāoñ ke havāle se salām chal rahā hai
tirī yaad ke parindoñ se bharā hai ghar hamārā
koī uḌ rahā hai koī lab-e-bām chal rahā hai
tirī rahmatoñ se pahle mujhe kaun jāntā thā
tirā naam le rahā huuñ mirā naam chal rahā hai
usī dar se munsalik hai mirā silsila bhī 'ātif'
ki jahāñ se do-jahāñ kā ye nizām chal rahā hai
sabhi band silsile hain yahi kaam chal raha hai
ki hawaon ke hawale se salam chal raha hai
teri yaad ke parindon se bhara hai ghar hamara
koi uD raha hai koi lab-e-baam chal raha hai
teri rahmaton se pahle mujhe kaun jaanta tha
tera nam le raha hun mera nam chal raha hai
usi dar se munsalik hai mera silsila bhi 'atif'
ki jahan se do-jahan ka ye nizam chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.