sabhi bichhaD gae mujhse guzarte pal ki tarah
sabhī bichhaḌ ga.e mujh se guzarte pal kī tarah
maiñ gir chukā huuñ kisī ḳhvāb ke mahal kī tarah
navāh-e-jism meñ rotā-karāhtā din-rāt
mujhe Darātā hai koī mirī ajal kī tarah
ye shahr hai yahāñ apnī hī justujū meñ log
mileñge chalte hue chiyuñTiyoñ ke dil kī tarah
maiñ us se miltā rahā aaj kī tavaqqo' par
vo mujh se duur rahā aane vaale kal kī tarah
nagar meñ zehn ke phir shaam se hai sannāTā
udaas udaas hai dil 'mīr' kī ġhazal kī tarah
niDhāl dekh ke bistar meñ niiñd kī pariyāñ
phir aaj mujh se ḳhafā ho ga.ī haiñ kal kī tarah
sabhi bichhaD gae mujh se guzarte pal ki tarah
main gir chuka hun kisi KHwab ke mahal ki tarah
nawah-e-jism mein rota-karahta din-raat
mujhe Daraata hai koi meri ajal ki tarah
ye shahr hai yahan apni hi justuju mein log
milenge chalte hue chiyunTiyon ke dil ki tarah
main us se milta raha aaj ki tawaqqo' par
wo mujh se dur raha aane wale kal ki tarah
nagar mein zehn ke phir sham se hai sannaTa
udas udas hai dil 'mir' ki ghazal ki tarah
niDhaal dekh ke bistar mein nind ki pariyan
phir aaj mujh se KHafa ho gai hain kal ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.