sabhi dil-shad manzar chhoD aaya
sabhī dil-shād manzar chhoḌ aayā
safar meñ huuñ maiñ ghar-var chhoḌ aayā
ta.alluq tishnagī se hai purānā
ye sochā aur samundar chhoḌ aayā
mirī qurbāniyāñ kyā pūchhte ho
parinda huuñ aur ambar chhoḌ aayā
bhaTakne kā thā aisā shauq mujh ko
ki maiñ dāmān-e-rahbar chhoḌ aayā
jahāñ se zindagī kī ibtidā kī
usī jā maut kā Dar chhoḌ aayā
marammat meñ bahut ḳharcha thā sāhab
maiñ apne ḳhvāb jarjar chhoḌ aayā
mujhe 'afrañg' dukh is baat kā hai
maiñ us kī āñkhoñ ko tar chhoḌ aayā
sabhi dil-shad manzar chhoD aaya
safar mein hun main ghar-war chhoD aaya
talluq tishnagi se hai purana
ye socha aur samundar chhoD aaya
meri qurbaniyan kya puchhte ho
parinda hun aur ambar chhoD aaya
bhaTakne ka tha aisa shauq mujh ko
ki main daman-e-rahbar chhoD aaya
jahan se zindagi ki ibtida ki
usi ja maut ka Dar chhoD aaya
marammat mein bahut KHarcha tha sahab
main apne KHwab jarjar chhoD aaya
mujhe 'afrang' dukh is baat ka hai
main us ki aankhon ko tar chhoD aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.