sabhi do-ghaDi ke hain mehman yahan roz kis ka qiyam hai
sabhī do-ghaḌī ke haiñ mehmāñ yahāñ roz kis kā qiyām hai
jo vafā kī raah meñ miT ga.ī usī zindagī ko davām hai
ye usuul kaisā usuul hai ai faqīh-e-shahr javāb de
vahī tū kare to halāl hai vahī maiñ karūñ to harām hai
isī āb-o-tāb ke saath hī haañ jahāñ meñ baaqī hai aaj bhī
jo na miT sakā na badal sakā vo kalām rab kā kalām hai
mujhe haq hī kyā jo tire sivā kisī dūsre se karūñ vafā
mirā nafs terā ġhulām hai mirī zindagī tire naam hai
milīñ mujrimoñ ko muāfiyāñ huiiñ be-ḳhatāoñ ko phāñsiyāñ
ye usuul kaisā usuul hai ye nizām kaisā nizām hai
tū nahīñ jo ai mire ham-nashīñ to jahāñ kī rut hī badal ga.ī
na vo dhuup hai na vo chhāñv hai na vo sub.h hai na vo shaam hai
use apne paas biThā.ūñ kyoñ dil-o-jān us pe luTā.ūñ kyoñ
jo hai fitna-parvar-o-ḳhud-ġharaz use duur hī se salām hai
sar-e-bazm 'tābish'-e-ḳhush-navā tū na chheḌ naġhma-e-jāñ-fazā
ye hai shaiḳh-e-vaqt kī ḳhānqah yahāñ sher-goī harām hai
sabhi do-ghaDi ke hain mehman yahan roz kis ka qiyam hai
jo wafa ki rah mein miT gai usi zindagi ko dawam hai
ye usul kaisa usul hai ai faqih-e-shahr jawab de
wahi tu kare to halal hai wahi main karun to haram hai
isi aab-o-tab ke sath hi han jahan mein baqi hai aaj bhi
jo na miT saka na badal saka wo kalam rab ka kalam hai
mujhe haq hi kya jo tere siwa kisi dusre se karun wafa
mera nafs tera ghulam hai meri zindagi tere nam hai
milin mujrimon ko muafiyan huin be-KHataon ko phansiyan
ye usul kaisa usul hai ye nizam kaisa nizam hai
tu nahin jo ai mere ham-nashin to jahan ki rut hi badal gai
na wo dhup hai na wo chhanw hai na wo subh hai na wo sham hai
use apne pas biThaun kyon dil-o-jaan us pe luTaun kyon
jo hai fitna-parwar-o-KHud-gharaz use dur hi se salam hai
sar-e-bazm 'tabish'-e-KHush-nawa tu na chheD naghma-e-jaan-faza
ye hai shaiKH-e-waqt ki KHanqah yahan sher-goi haram hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.