sabhi fankar le kar ji rahe hain
sabhī fankār le kar jī rahe haiñ
ka.ī kirdār le kar jī rahe haiñ
kareñgī kyā kisī kī bad-duā.eñ
kisī kā pyaar le kar jī rahe haiñ
kisī ne ham ko chāhā chaar din tak
vahī din chaar le kar jī rahe haiñ
hamāre sar pe aa.eñ sab balā.eñ
hamāre yaar le kar jī rahe haiñ
suḳhan kā ilm un ko bhī mile jo
mire ash.ār le kar jī rahe haiñ
sabhi fankar le kar ji rahe hain
kai kirdar le kar ji rahe hain
karengi kya kisi ki bad-duaen
kisi ka pyar le kar ji rahe hain
kisi ne hum ko chaha chaar din tak
wahi din chaar le kar ji rahe hain
hamare sar pe aaen sab balaen
hamare yar le kar ji rahe hain
suKHan ka ilm un ko bhi mile jo
mere ashaar le kar ji rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.