sabhi ka ek sa kirdar ho nahin sakta
sabhī kā ek sā kirdār ho nahīñ saktā
har ek peḌ to phaldār ho nahīñ saktā
baḌhe chalo ki dhuñdalkoñ ke paar jaanā hai
ġhubār-e-rāh kī dīvār ho nahīñ saktā
jahāñ mizāj meñ dastār-bandiyāñ hoñgī
vahāñ pe koī bhī sardār ho nahīñ saktā
ḳhirad pe gahn kā qabza rahegā kitne din
hamārā sochnā be-kār ho nahīñ saktā
ajiib daur hai is daur meñ 'asar' sāhib
ġharīb sāhab-e-dastār ho nahīñ saktā
sabhi ka ek sa kirdar ho nahin sakta
har ek peD to phaldar ho nahin sakta
baDhe chalo ki dhundalkon ke par jaana hai
ghubar-e-rah ki diwar ho nahin sakta
jahan mizaj mein dastar-bandiyan hongi
wahan pe koi bhi sardar ho nahin sakta
KHirad pe gahn ka qabza rahega kitne din
hamara sochna be-kar ho nahin sakta
ajib daur hai is daur mein 'asar' sahib
gharib sahab-e-dastar ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.