sabhi ke kaam par uski nazar hai
sabhī ke kaam par us kī nazar hai
magar insān phir bhī be-ḳhabar hai
judā patte hue jaate haiñ saare
ye kaisā vaqt aayā shāḳh par hai
khaTaktā hai vo koThī kī nazar meñ
baġhal meñ ek jo chhappar kā ghar hai
sar-e-bāzār īmāñ bik rahe haiñ
yahī bas aaj kī taazā ḳhabar hai
yaqīñ jaldī hī kar lete ho sab par
kahīñ dhokā na khaao is kā Dar hai
kahāñ āsāniyāñ DhūñDho ho is meñ
miyāñ ye zindagānī kā safar hai
kahānī meñ hai jis ne jaan Daalī
vahī kirdār be-had muḳhtasar hai
sabhi ke kaam par us ki nazar hai
magar insan phir bhi be-KHabar hai
juda patte hue jate hain sare
ye kaisa waqt aaya shaKH par hai
khaTakta hai wo koThi ki nazar mein
baghal mein ek jo chhappar ka ghar hai
sar-e-bazar iman bik rahe hain
yahi bas aaj ki taza KHabar hai
yaqin jaldi hi kar lete ho sab par
kahin dhoka na khao is ka Dar hai
kahan aasaniyan DhunDho ho is mein
miyan ye zindagani ka safar hai
kahani mein hai jis ne jaan Dali
wahi kirdar be-had muKHtasar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.