sabhi ki aankh mein chamka sitara
sabhī kī aañkh meñ chamkā sitārā
agar dekhā kahīñ Dhaltā sitārā
ġhazab ye hai ki mannat māñgte haiñ
dikhe jab TuuT kar girtā sitārā
sitāre hī muqābil ho ga.e haiñ
kahāñ jā kar kare shikva sitārā
agarche thī ḳhatā sab chāñdnī kī
magar phir bhī huā rusvā sitārā
chalā kis or thā pahuñchā kahīñ par
svayam kī raah se bhaTkā sitārā
sabhi ki aankh mein chamka sitara
agar dekha kahin Dhalta sitara
ghazab ye hai ki mannat mangte hain
dikhe jab TuT kar girta sitara
sitare hi muqabil ho gae hain
kahan ja kar kare shikwa sitara
agarche thi KHata sab chandni ki
magar phir bhi hua ruswa sitara
chala kis or tha pahuncha kahin par
swayam ki rah se bhaTka sitara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.