sabhi ko dekh rahi hai nazar tumhaare siwa
sabhī ko dekh rahī hai nazar tumhāre sivā
bujhā bujhā sā hai dil kā nagar tumhāre sivā
ye sāhiloñ ke kināre ye kashtiyāñ ye havā
faqat hai manzar-e-ḳhāmosh-tar tumhāre sivā
nahīñ ho tum to koī manzar-e-bahār nahīñ
hazār gul hoñ mo.attar agar tumhāre sivā
ye bastiyāñ baḌī gunjān haiñ magar in meñ
kisī galī meñ nahīñ koī ghar tumhāre sivā
ye zindagī hai kaThin rahguzār kī sūrat
bahut azaab hai ye sar-basar tumhāre sivā
maiñ rāh-e-zīst pe tanhā huuñ jaise koī shajar
nahīñ hai koī mirī rahguzar tumhāre sivā
sabhi ko dekh rahi hai nazar tumhaare siwa
bujha bujha sa hai dil ka nagar tumhaare siwa
ye sahilon ke kinare ye kashtiyan ye hawa
faqat hai manzar-e-KHamosh-tar tumhaare siwa
nahin ho tum to koi manzar-e-bahaar nahin
hazar gul hon moattar agar tumhaare siwa
ye bastiyan baDi gunjaan hain magar in mein
kisi gali mein nahin koi ghar tumhaare siwa
ye zindagi hai kaThin rahguzar ki surat
bahut azab hai ye sar-basar tumhaare siwa
main rah-e-zist pe tanha hun jaise koi shajar
nahin hai koi meri rahguzar tumhaare siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.