sabhi ko KHwab dikhlae gae hain
sabhī ko ḳhvāb dikhlā.e ga.e haiñ
yahāñ sab log bahkā.e ga.e haiñ
baḌī mushkil se banvā.e ga.e haiñ
tujhe zevar jo pahnā.e ga.e haiñ
virāsat meñ mile the jo asāse
vo girvī aaj rakhvā.e ga.e haiñ
to kyā un kā ḳhudā koī nahīñ thā
kafan ke bin jo dafnā.e ga.e haiñ
unheñ ab yaad kartā hai zamāna
jo dīvāroñ meñ chunvā.e ga.e haiñ
jo mere paas haiñ she.rī asāse
ye 'ābid' mujh se likhvā.e ga.e haiñ
sabhi ko KHwab dikhlae gae hain
yahan sab log bahkae gae hain
baDi mushkil se banwae gae hain
tujhe zewar jo pahnae gae hain
wirasat mein mile the jo asase
wo girwi aaj rakhwae gae hain
to kya un ka KHuda koi nahin tha
kafan ke bin jo dafnae gae hain
unhen ab yaad karta hai zamana
jo diwaron mein chunwae gae hain
jo mere pas hain sheri asase
ye 'abid' mujh se likhwae gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.