sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai
sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai
Zakir Khan Zakir
MORE BYZakir Khan Zakir
sabhī ko ḳhvāhish-e-tasḳhīr-e-shauq-e-hukmarānī hai
hameñ lagtā hai apnā dil nahīñ ik rājdhānī hai
yahīñ tahrīr hai lamhāt-e-sar-basta ke afsāne
kitāb-e-zindagī ke har varaq par ik kahānī hai
shikast-o-reḳht kā manzar mirī āñkhoñ meñ rahne do
mujhe apne hī ḳhvāboñ kī abhī qīmat chukānī hai
ta.alluq TuuT jaane se mohabbat mar nahīñ jaatī
ye vo dariyā hai jis meñ bas ravānī hī ravānī hai
ye mere ashk-e-āvāra siyah-rātoñ meñ jugnū haiñ
sajā le apnī palkoñ par unheñ maiñ zau-fishānī hai
zarā badle nahīñ haiñ gaañv se ham shahr meñ aa kar
hamāre ḳhuun meñ zākir vahī saj-dhaj purānī hai
sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai
hamein lagta hai apna dil nahin ek rajdhani hai
yahin tahrir hai lamhat-e-sar-basta ke afsane
kitab-e-zindagi ke har waraq par ek kahani hai
shikast-o-reKHt ka manzar meri aankhon mein rahne do
mujhe apne hi KHwabon ki abhi qimat chukani hai
talluq TuT jaane se mohabbat mar nahin jati
ye wo dariya hai jis mein bas rawani hi rawani hai
ye mere ashk-e-awara siyah-raaton mein jugnu hain
saja le apni palkon par unhen main zau-fishani hai
zara badle nahin hain ganw se hum shahr mein aa kar
hamare KHun mein zakir wahi saj-dhaj purani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.