sabhi ko muskura kar mar Dala
sabhī ko muskurā kar maar Daalā
bache ham so Darā kar maar Daalā
ye qabristān us kī milkiyat hai
nayā naqsha dikhā kar maar Daalā
mohabbat meñ fanā honā nahīñ thā
kisī ne varġhalā kar maar Daalā
un āñkhoñ kā baḌā saudā thā ham ko
hameñ āñkheñ dikhā kar maar Daalā
latīfe ḳhuub ḳhidmat-gār ke the
hameñ to kal hañsā kar maar Daalā
bas ik majnūñ hī thā madd-e-muqābil
use sahrā meñ jā kar maar Daalā
sabhi ko muskura kar mar Dala
bache hum so Dara kar mar Dala
ye qabristan us ki milkiyat hai
naya naqsha dikha kar mar Dala
mohabbat mein fana hona nahin tha
kisi ne warghala kar mar Dala
un aankhon ka baDa sauda tha hum ko
hamein aankhen dikha kar mar Dala
latife KHub KHidmat-gar ke the
hamein to kal hansa kar mar Dala
bas ek majnun hi tha madd-e-muqabil
use sahra mein ja kar mar Dala
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 61)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.