sabhi nuqush ghalat Khaal-o-KHad bala ke KHarab
sabhī nuqūsh ġhalat ḳhāl-o-ḳhad balā ke ḳharāb
mujhe vo Thiik nahīñ kar sakā banā ke ḳharāb
mujhe pasand hai har shai jo mere jaisī ho
so achchhī chiiz maiñ rakh aatī huuñ uThā ke ḳharāb
bas ek baar hī kaafī hai zindagī ki ḳhudā
phir is jahān meñ honā hai kis ko aa ke ḳharāb
to ik charāġh jalā aao shab kī chaukhaT par
agar mizāj nahīñ lag rahe havā ke ḳharāb
har ek kaam mukammal tavajjoh chāhtā hai
tabhī to ḳhud ko kiyā ḳhuub dil lagā ke ḳharāb
tazād-e-qaul-o-'amal aur fareb lahjoñ meñ
ye log dekhne meñ hī the intihā ke ḳharāb
maiñ sab se ḳhushnumā patthar thī tujh 'imārat kā
so tū ne ḳhud ko kiyā hai mujhe haTā ke ḳharāb
tumhārā dukh hai ki tum bhī banā diye ga.e ho
hamārā kyā hai ki ham log the sadā ke ḳharāb
sabhi nuqush ghalat KHal-o-KHad bala ke KHarab
mujhe wo Thik nahin kar saka bana ke KHarab
mujhe pasand hai har shai jo mere jaisi ho
so achchhi chiz main rakh aati hun uTha ke KHarab
bas ek bar hi kafi hai zindagi ki KHuda
phir is jahan mein hona hai kis ko aa ke KHarab
to ek charagh jala aao shab ki chaukhaT par
agar mizaj nahin lag rahe hawa ke KHarab
har ek kaam mukammal tawajjoh chahta hai
tabhi to KHud ko kiya KHub dil laga ke KHarab
tazad-e-qaul-o-'amal aur fareb lahjon mein
ye log dekhne mein hi the intiha ke KHarab
main sab se KHushnuma patthar thi tujh 'imarat ka
so tu ne KHud ko kiya hai mujhe haTa ke KHarab
tumhaara dukh hai ki tum bhi bana diye gae ho
hamara kya hai ki hum log the sada ke KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.