sabhi paDhte rahe chehra hamara
sabhī paḌhte rahe chehra hamārā
kisī ne dil nahīñ dekhā hamārā
sitam kī āñdhiyāñ Dartīñ thiiñ ham se
kabhī aisā bhī thā rutba hamārā
vo ham ko har tarah se bhā gayā hai
jise bhāyā nahīñ chehra hamārā
vahī rasta raqīboñ ne chunā ab
bahut pahle thā jo rasta hamārā
tumhāre bin hamārī haisiyat kyā
milo tum to baḌhe darja hamārā
sabhi paDhte rahe chehra hamara
kisi ne dil nahin dekha hamara
sitam ki aandhiyan Dartin thin hum se
kabhi aisa bhi tha rutba hamara
wo hum ko har tarah se bha gaya hai
jise bhaya nahin chehra hamara
wahi rasta raqibon ne chuna ab
bahut pahle tha jo rasta hamara
tumhaare bin hamari haisiyat kya
milo tum to baDhe darja hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.