sabhi qissa kahani ka bura anjam hota hai
sabhī qissa kahānī kā burā anjām hotā hai
mohabbat chhūT jaa.e to mohabbat naam hotā hai
zamāne-bhar kī rusvā.ī uThā letā hai kandhe par
batāo is tarah bhī dil kahīñ badnām hotā hai
vo merā haal kyā jaane hai merā haal jaane kyā
maiñ bilkul mutma.in huuñ ye mahaz ilzām hotā hai
mohabbat pūchh ke to kī nahīñ jaatī zamāne meñ
ḳhatā jo dil ye kar baiThe tamāshā 'aam hotā hai
mohabbat pā ke patthar dil agar badlā nahīñ terā
to phir us be-muravvat kā to behis naam hotā hai
sabhi qissa kahani ka bura anjam hota hai
mohabbat chhuT jae to mohabbat nam hota hai
zamane-bhar ki ruswai uTha leta hai kandhe par
batao is tarah bhi dil kahin badnam hota hai
wo mera haal kya jaane hai mera haal jaane kya
main bilkul mutmain hun ye mahaz ilzam hota hai
mohabbat puchh ke to ki nahin jati zamane mein
KHata jo dil ye kar baiThe tamasha 'am hota hai
mohabbat pa ke patthar dil agar badla nahin tera
to phir us be-murawwat ka to behis nam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.