sabhi sadiyon ko mil kar sochna hai
sabhī sadiyoñ ko mil kar sochnā hai
ki ik lamhe kā man kyoñ anmanā hai
tumhāre paas haiñ ilm-o-hunar sab
hamāre paas bas ik bachpanā hai
bachā kar tum use gullak meñ rakkho
hameñ to zindagī ko ḳharchanā hai
haiñ kuchh īmān tere khel meñ yā
tirā maqsad yahāñ bas jītnā hai
sivā is ke qayāmat aur kyā hai
ḳhudā.ī kā ḳhudā se sāmnā hai
zarā ye soch kar taqrīr karnā
tumhāre baad ham ko bolnā hai
chamak sūraj kī kam thoḌe huī hai
use ghere hue bādal ghanā hai
kisī din bhaaḌ ko vo phoḌ degā
jise kahte haiñ sab thothā chanā hai
sabhi sadiyon ko mil kar sochna hai
ki ek lamhe ka man kyon anmana hai
tumhaare pas hain ilm-o-hunar sab
hamare pas bas ek bachpana hai
bacha kar tum use gullak mein rakkho
hamein to zindagi ko KHarchana hai
hain kuchh iman tere khel mein ya
tera maqsad yahan bas jitna hai
siwa is ke qayamat aur kya hai
KHudai ka KHuda se samna hai
zara ye soch kar taqrir karna
tumhaare baad hum ko bolna hai
chamak suraj ki kam thoDe hui hai
use ghere hue baadal ghana hai
kisi din bhaD ko wo phoD dega
jise kahte hain sab thotha chana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.