sabhi se dur bayaban mein rah rahe hain hum
sabhī se duur bayābāñ meñ rah rahe haiñ ham
na sun rahe haiñ kisī kī na kah rahe haiñ ham
ravāñ nadī to nahīñ hai magar havā ke sañg
ġhubār ban ke zamāne se bah rahe haiñ ham
kisī ġharīb ke TuuTe hue makāñ kī tarah
zarā zarā hī sahī roz Dah rahe haiñ ham
khulī kitāb sī ye zindagī hamārī hai
varaq varaq haiñ uḌe sab na tah rahe haiñ ham
bhaTak rahe haiñ tabassum kī chaah dil meñ liye
mile hai rañj faqat jis jagah rahe haiñ ham
hameñ bhī khul ke chamakne nahīñ diyā 'sābir'
jise ho abr ne gherā vo mah rahe haiñ ham
sabhi se dur bayaban mein rah rahe hain hum
na sun rahe hain kisi ki na kah rahe hain hum
rawan nadi to nahin hai magar hawa ke sang
ghubar ban ke zamane se bah rahe hain hum
kisi gharib ke TuTe hue makan ki tarah
zara zara hi sahi roz Dah rahe hain hum
khuli kitab si ye zindagi hamari hai
waraq waraq hain uDe sab na tah rahe hain hum
bhaTak rahe hain tabassum ki chah dil mein liye
mile hai ranj faqat jis jagah rahe hain hum
hamein bhi khul ke chamakne nahin diya 'sabir'
jise ho abr ne ghera wo mah rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.