sabhi se hum nahin khulte ki sab nahin khulte
sabhī se ham nahīñ khulte ki sab nahīñ khulte
vagarna mahfil-e-yārāñ meñ kab nahīñ khulte
har ek shaḳhs ko husn-e-nazar nahīñ miltā
har ek shaḳhs pe sher-o-adab nahīñ khulte
yahāñ pe daad ko zanjīr ab nahīñ khiñchtī
yahāñ pe adl ko darvāze ab nahīñ khulte
kahīñ anā pe yaqīnan lagī hai choT na.ī
purāne zaḳhm yūñhī be-sabab nahīñ khulte
ye daur vo nahīñ phir bhī sharīf zādoñ ke
buzurg sāmne gar hoñ to lab nahīñ khulte
hamāre aib hameñ jo batā.e so mohsin
ki ā.inoñ pe bhī ḳhud ke aqab nahīñ khulte
kabhī 'naqīb' sabhī par khulī kitāb koī
kabhī to ham pe bhī ḳhud apne Dhab nahīñ khulte
sabhi se hum nahin khulte ki sab nahin khulte
wagarna mahfil-e-yaran mein kab nahin khulte
har ek shaKHs ko husn-e-nazar nahin milta
har ek shaKHs pe sher-o-adab nahin khulte
yahan pe dad ko zanjir ab nahin khinchti
yahan pe adl ko darwaze ab nahin khulte
kahin ana pe yaqinan lagi hai choT nai
purane zaKHm yunhi be-sabab nahin khulte
ye daur wo nahin phir bhi sharif zadon ke
buzurg samne gar hon to lab nahin khulte
hamare aib hamein jo batae so mohsin
ki aainon pe bhi KHud ke aqab nahin khulte
kabhi 'naqib' sabhi par khuli kitab koi
kabhi to hum pe bhi KHud apne Dhab nahin khulte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.