sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai
sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai
Aslam Gurdaspuri
MORE BYAslam Gurdaspuri
sabhī yahāñ haiñ darīda-dāman sabhī kā ab haal ek sā hai
ab aisī sūrat meñ kis se pūchheñ ye kyā banā hai ye kyā huā hai
kuchh is tarah se kabhī huā thā sukūt dār-o-rasan kā aalam
na koī dīvāna sar-ba-kaf hai na koī vahshī DaTā huā hai
ye kyā maraz hai ki jis ke Dar se tamām duniyā laraz rahī hai
ye kyā vabā hai ki jis ke aage har ek kā sar jhukā huā hai
vo āsmānoñ pe jaane vaale vo chāñd se miTTī laane vaale
na jaane ab vo kahāñ ga.e haiñ har ek ghar meñ chhupā huā hai
vo sab missile ye saare atom bas ik corona kī maar nikle
ab aise aalam meñ dekh leñ sab ki chiin kaise DaTā huā hai
ye vā.izoñ ke tamām ḳhutbe hamārī mushkil kā hal nahīñ haiñ
ab is ko ḳhud ham hī hal kareñge ye mas.ala jo banā huā hai
na koī bhī ham pe pahra-zan hai ki ham kahīñ aa.eñ aur na jaa.eñ
har ek insān apne ghar meñ ḳhud apnā qaidī banā huā hai
koī baḌā ho ki yā ho chhoTā koī gadā ho ki bādshāh ho
is ibtilā kā kamāl ye hai ki sab ko yaksāñ kiyā huā hai
sivā.e ḳhāmosh chāñd tāroñ ke in ḳhalāoñ meñ kuchh nahīñ hai
ye zindagī kī hī raunaqeñ haiñ ki jin se mela sajā huā hai
ye kyā ġhazab hai ki muddatoñ se ḳhizāñ hī gulshan meñ ḳhema-zan hai
jo mausam-e-gul kā kārvāñ thā vo kārvāñ kyuuñ rukā huā hai
hamārā zauq-e-suḳhan hai jaarī use kisī shai kā Dar nahīñ hai
na husn ham se alag huā hai na ishq ham se judā huā hai
ḳhudā to un se ḳhafā hai 'aslam' jo us ke qānūn toḌte haiñ
vagarna ham aise be-basoñ se ḳhudā bhalā kab ḳhafā huā hai
sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai
ab aisi surat mein kis se puchhen ye kya bana hai ye kya hua hai
kuchh is tarah se kabhi hua tha sukut dar-o-rasan ka aalam
na koi diwana sar-ba-kaf hai na koi wahshi DaTa hua hai
ye kya maraz hai ki jis ke Dar se tamam duniya laraz rahi hai
ye kya waba hai ki jis ke aage har ek ka sar jhuka hua hai
wo aasmanon pe jaane wale wo chand se miTTi lane wale
na jaane ab wo kahan gae hain har ek ghar mein chhupa hua hai
wo sab missile ye sare atom bas ek corona ki mar nikle
ab aise aalam mein dekh len sab ki chin kaise DaTa hua hai
ye waizon ke tamam KHutbe hamari mushkil ka hal nahin hain
ab is ko KHud hum hi hal karenge ye masala jo bana hua hai
na koi bhi hum pe pahra-zan hai ki hum kahin aaen aur na jaen
har ek insan apne ghar mein KHud apna qaidi bana hua hai
koi baDa ho ki ya ho chhoTa koi gada ho ki baadshah ho
is ibtila ka kamal ye hai ki sab ko yaksan kiya hua hai
siwae KHamosh chand taron ke in KHalaon mein kuchh nahin hai
ye zindagi ki hi raunaqen hain ki jin se mela saja hua hai
ye kya ghazab hai ki muddaton se KHizan hi gulshan mein KHema-zan hai
jo mausam-e-gul ka karwan tha wo karwan kyun ruka hua hai
hamara zauq-e-suKHan hai jari use kisi shai ka Dar nahin hai
na husn hum se alag hua hai na ishq hum se juda hua hai
KHuda to un se KHafa hai 'aslam' jo us ke qanun toDte hain
wagarna hum aise be-bason se KHuda bhala kab KHafa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.