sabhi zabte mere iKHtiyar ke le gaya
sabhī zābte mire iḳhtiyār ke le gayā
vo gayā to log mirī qatār ke le gayā
mirā bojh kam to huā magar ye bhī dekhiye
mirī shāḳh se koī phal utaar ke le gayā
maiñ tire husūl se duur thā faqat ik qadam
vahīñ koī apnī taraf pukār ke le gayā
abhī thak ke soyā thā zindagī ke safar se maiñ
tirā hashr lamhe mire qarār ke le gayā
sabhi zabte mere iKHtiyar ke le gaya
wo gaya to log meri qatar ke le gaya
mera bojh kam to hua magar ye bhi dekhiye
meri shaKH se koi phal utar ke le gaya
main tere husul se dur tha faqat ek qadam
wahin koi apni taraf pukar ke le gaya
abhi thak ke soya tha zindagi ke safar se main
tera hashr lamhe mere qarar ke le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.