sabr aankhon mein utar aaya hai ban kar pani
sabr āñkhoñ meñ utar aayā hai ban kar paanī
zabt ko toḌ ke tū ne kiyā patthar paanī
mere hoñToñ pe koī pyaas lagā dī us ne
tishnagī aur baḌhī pyaas meñ pī kar paanī
hijr ne aur mujhe aur bhī mazbūt kiyā
barf kī sil hai banā aag meñ jal kar paanī
mai-kade toḌ ke bastī meñ sabīleñ bāñdho
gar husainī ho to pahuñchā do nā ghar ghar paanī
merī duniyā meñ faqat tum ho tumhāre ġham haiñ
jaise kavve kī kahānī meñ haiñ kankar paanī
ab tirī soch meñ aayā hai ki kashtī bāñdhūñ
chaḌh gayā jab tirī bastī se bhī uupar paanī
sabr aankhon mein utar aaya hai ban kar pani
zabt ko toD ke tu ne kiya patthar pani
mere honTon pe koi pyas laga di us ne
tishnagi aur baDhi pyas mein pi kar pani
hijr ne aur mujhe aur bhi mazbut kiya
barf ki sil hai bana aag mein jal kar pani
mai-kade toD ke basti mein sabilen bandho
gar husaini ho to pahuncha do na ghar ghar pani
meri duniya mein faqat tum ho tumhaare gham hain
jaise kawwe ki kahani mein hain kankar pani
ab teri soch mein aaya hai ki kashti bandhun
chaDh gaya jab teri basti se bhi upar pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.