sabr kahtā hai ki ronā kaisā
hijr meñ jaan kā khonā kaisā
ġhair ne jhuuT kahā thā mujh se
yaar kā ghar meñ na honā kaisā
dard se tiir jigar kā khīñcho
ḳhuun meñ haath Dubonā kaisā
hijr kī raat burī hotī hai
aah ruktī nahīñ sonā kaisā
ishq meñ koī bashar laa.eq ho
is meñ barbād na honā kaisā
baad marne ke jo taḌpā mirā dil
shaq huā qabr kā konā kaisā
naam terā hai mire baa.is se
bahr-e-ġham mujh ko Dubonā kaisā
jal bhī jaa.e to na uf muñh se kare
ai sham.a rātoñ ko ronā kaisā
jo ki ho ḳhāk-nashīñ muddat se
us ko shaffāf bichhaunā kaisā
kahtā hai zabt ki tum sābir ho
dard ho dil meñ to ronā kaisā
dil-e-āshiq se numū hotā hai
tuḳhm-e-ulfat tirā bonā kaisā
ek din jaan mirī le fassād
roz nashtar kā chubhonā kaisā
ab bhī taklīf mujhe dete ho
jaao bhī laash pe ronā kaisā
kyā javānī ne sikhāyā hai tumheñ
le ke añgḌā.iyāñ sonā kaisā
kuchh kahā maiñ ne vo kahtā hai 'shafīq'
dukhḌā har roz kā ronā kaisā
sabr kahta hai ki rona kaisa
hijr mein jaan ka khona kaisa
ghair ne jhuT kaha tha mujh se
yar ka ghar mein na hona kaisa
dard se tir jigar ka khincho
KHun mein hath Dubona kaisa
hijr ki raat buri hoti hai
aah rukti nahin sona kaisa
ishq mein koi bashar laeq ho
is mein barbaad na hona kaisa
baad marne ke jo taDpa mera dil
shaq hua qabr ka kona kaisa
nam tera hai mere bais se
bahr-e-gham mujh ko Dubona kaisa
jal bhi jae to na uf munh se kare
ai shama raaton ko rona kaisa
jo ki ho KHak-nashin muddat se
us ko shaffaf bichhauna kaisa
kahta hai zabt ki tum sabir ho
dard ho dil mein to rona kaisa
dil-e-ashiq se numu hota hai
tuKHm-e-ulfat tera bona kaisa
ek din jaan meri le fassad
roz nashtar ka chubhona kaisa
ab bhi taklif mujhe dete ho
jao bhi lash pe rona kaisa
kya jawani ne sikhaya hai tumhein
le ke angDaiyan sona kaisa
kuchh kaha main ne wo kahta hai 'shafiq'
dukhDa har roz ka rona kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.