sabr kar dil-e-nadan kis liye tu rota hai
sabr kar dil-e-nādāñ kis liye tū rotā hai
bevafā zamāne meñ kaun kis kā hotā hai
jis ko maiñ ne baḳhshe haiñ phuul shādmānī ke
ab vahī mire dil meñ ḳhār-e-ġham chubhotā hai
nā-murād ashkoñ se tar to ho gayā dāman
haañ magar lahū dil kā dil ke zaḳhm dhotā hai
kār-gāh-e-hastī meñ mutma.in nahīñ koī
dekh kar har ik sūrat aa.ina bhī rotā hai
vaqt yuuñ utar aayā zulm ke tarīqe par
roz ḳhūn-e-insāñ se āstīñ bhigotā hai
jo bhī īmāñ rakhtā hai maslahat-parastī par
gulshan-e-mohabbat meñ ġham ke biij botā hai
aa.ina haqīqat kā rakh ke sāmne dekhe
aadmī zamāne meñ ḳhud vaqār khotā hai
is qadar baḌhī 'arshad' zindagī kī hairānī
āj-kal har ik insāñ rote rote sotā hai
sabr kar dil-e-nadan kis liye tu rota hai
bewafa zamane mein kaun kis ka hota hai
jis ko main ne baKHshe hain phul shadmani ke
ab wahi mere dil mein KHar-e-gham chubhota hai
na-murad ashkon se tar to ho gaya daman
han magar lahu dil ka dil ke zaKHm dhota hai
kar-gah-e-hasti mein mutmain nahin koi
dekh kar har ek surat aaina bhi rota hai
waqt yun utar aaya zulm ke tariqe par
roz KHun-e-insan se aastin bhigota hai
jo bhi iman rakhta hai maslahat-parasti par
gulshan-e-mohabbat mein gham ke bij bota hai
aaina haqiqat ka rakh ke samne dekhe
aadmi zamane mein KHud waqar khota hai
is qadar baDhi 'arshad' zindagi ki hairani
aaj-kal har ek insan rote rote sota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.