sabr kar sabr ki ghaDi hai abhi
sabr kar sabr kī ghaḌī hai abhī
itnī mushkil se jo milī hai abhī
vaqt se pahle maut achchhī nahīñ
zindagī sāmne paḌī hai abhī
baa'd tere koī nahīñ hogā
tū mirī āḳhirī ḳhushī hai abhī
tū bhī 'parvez' ko samajh na sakā
tanz terā bhī lāzmī hai abhī
sabr kar sabr ki ghaDi hai abhi
itni mushkil se jo mili hai abhi
waqt se pahle maut achchhi nahin
zindagi samne paDi hai abhi
ba'd tere koi nahin hoga
tu meri aaKHiri KHushi hai abhi
tu bhi 'parwez' ko samajh na saka
tanz tera bhi lazmi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.