sabr karenge jab tak ishq nahin hota
sabr kareñge jab tak ishq nahīñ hotā
dekheñ us ko kab tak ishq nahīñ hotā
shirkat kuchh to lāzim hai matlūb kī bhī
tālib ke matlab tak ishq nahīñ hotā
us ke ba.ad amāvas bhī to paḌtī hai
puure chāñd kī shab tak ishq nahīñ hotā
dil-dariyā meñ ġhote khāne paḌte haiñ
dekho lab se lab tak ishq nahīñ hotā
ham to jaane kab ke jal kar ḳhaak hue
lekin un ko ab tak ishq nahīñ hotā
chehre kī saarī raunaq uḌ jā.egī
hañste rahiye jab tak ishq nahīñ hotā
sabr karenge jab tak ishq nahin hota
dekhen us ko kab tak ishq nahin hota
shirkat kuchh to lazim hai matlub ki bhi
talib ke matlab tak ishq nahin hota
us ke baad amawas bhi to paDti hai
pure chand ki shab tak ishq nahin hota
dil-dariya mein ghote khane paDte hain
dekho lab se lab tak ishq nahin hota
hum to jaane kab ke jal kar KHak hue
lekin un ko ab tak ishq nahin hota
chehre ki sari raunaq uD jaegi
hanste rahiye jab tak ishq nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.